About This Blog

This is a personal corner. These posts are entirely based on what I think & believe in. I have written many poems, shero-shayari & some short stories. I will keep posting them time-to-time, along-with the new ones.

Monday, April 25, 2022

Haal-E-Dil


Ye kya ho gaya hai, ye kaha kho gayi hu,

Aaj pehli baar alfaaz nahi mil rahe,

Aisa to kabhi nahi mehsoos kiya,

Ye kaisi kash-ma-kash me hun.


Ho kismat me tum nahi mere,

To hatho ki lakeeron me kyu the,

Ab bhi wo khwaab zinda hai kya,

Isi soch me uljhi hui hun.


Ye dard hai ki jaata nahi,

Intezar kar thak gayi aankhein meri,

Koi dawa de de us dard ka,

Wo toote sheeshe aaj bhi chubhte hain.


Bas yahi khwaish bachi hai ab,

Kisi mod pe mila de tumhe khuda,

Palkon pe saja lungi us pal ko,

Dil se nikalti hai ye dua.


Maine chaha bahut uss ret ko pakadna,

Par hathon se wo fisal hi gaya,

Waqt ke iss katghare me ab,

Rasta alag ho hi gaya.

No comments:

Post a Comment