About This Blog

This is a personal corner. These posts are entirely based on what I think & believe in. I have written many poems, shero-shayari & some short stories. I will keep posting them time-to-time, along-with the new ones.

Monday, June 7, 2010

Jazbaat


Kehte hain jazbaaton ki koi seema nahi hoti
Kisika khyaal rakhne ki koi hadh nahi hoti.

Pyaar rang badalta hai
Har roop-rang mein mil jata hai.

Kisiko chaho jab toot kar
Baatein fir mayne nahi rakhti,
Nigaahein sab keh deti hain
Lavzon ki zarurat nahi hoti.

Koi kareeb aata hai jitna
Dooriyan jab wo kam karta hai,
Na chahte huye bhi
Na jane kyu ek darr sa lagta hai.

Paas aana chahe bhi dil to
Koi ehsaas usse rokta hai,
Doori banaye rakhna chaho bhi to
Koi ehsaas chup kara jata hai.

Bas yuhi likhte-likhte
Shabd khatm ho jate hain,
Aur jazbaaton ka samandar
Uthal-puthal hi reh jata hai.

No comments:

Post a Comment